ORALZY
FAQ

Bill ki galti ho to Day Book me Reverse karu ya bill hi sudharu?

Bill / payment / kharche ki galti ho to us document ko hi theek karo (bill edit karke save, ya cancel / Recycle Bin). Books ki entry apne aap purani reverse hokar nayi ban jaati hai. Day Book me '↺ Reverse' sirf ledger se entry hatata hai — bill, patient ka due aur Money page waise ke waise rehte hain.

Where in ORALZY: Insights → Books

Isliye auto-entry (Source bill / payment / expense) ko haath se Reverse karne se Books aur baaki app me farak aa jaata hai: bill zinda hai par Books me uski income nahi. '↺ Reverse' manual journal entries ke liye theek hai. Reverse karne par reason poocha jaata hai, aaj ki date par ulti entry banti hai aur purani 'reversed' ho jaati hai; reports me dono me se koi nahi ginti, yani us entry ka asar poori tarah hat jaata hai. Reverse sirf owner / admin kar sakte hain.

Quick steps

  1. Day Book me entry ka Source dekho (bill / payment / expense / manual)
  2. Bill / payment / expense ho to wahi document kholo aur sudharo
  3. Sirf 'manual' entry galat ho to '↺ Reverse' dabao aur reason likho
  4. Sahi entry '+ Manual Journal Entry' se dobara daalo

reversegaltimistakebillautoentrysudharcorrectionjournal