ORALZY
FAQ

Treatment Complete me bhara hua aadha form save hota hai kya?

Nahi. Case sheet kholkar jo procedures, Rx, dawai, agla appointment bharte ho wo "Complete Treatment" dabane par hi save hote hain — beech me "Back to list" dabaya ya page band kiya to sab mit jaata hai. Is page par alag "Save draft" button nahi hai.

Where in ORALZY: Treatment → Clinical → Rx & Vitals → Treatment Complete

Draft me pehle se jo chief complaint, diagnosis, findings aur procedures save the (jaise chart ke Visit note se) wo dobara kholne par wapas aate hain. Rx, dawai aur appointment ki rows hamesha khaali shuru hoti hain. Lamba kaam ho to pehle sab tayyar karke ek baar me bharo.

Quick steps

  1. Case sheet kholo ("Complete →")
  2. Saare section ek saath bharo
  3. Turant "Complete Treatment" dabao

draftsavelostmittreatmentcompletecasesheetform