Isliye kabhi Money page ka Billed kisi purani report se kam dikh sakta hai — purani screens draft ya cancelled bill bhi gin leti thi. Recycle Bin me daala bill ya payment turant is page se hat jaata hai. Pharmacy counter ka paisa Collected me shaamil hai (sale ke din, khata ka paisa jis din aaya, return jis din hua). Advance payment Collected me ginta hai (paisa aaya hai) chahe bill abhi na bana ho. Bills bill ki date se, payments payment ki date se gine jaate hain.
Money page me kaunse bills aur payments nahi gine jaate?
Billed me sirf asli issued bills ginte hain — draft, cancelled aur proforma (quotation) bills nahi ginte, aur Recycle Bin wale bhi nahi. Collected me security deposit nahi ginta (wo amaanat hai, kamai nahi), aur deposit wapas dena refund nahi maana jaata. Credit notes Billed se minus hote hain, refunds Collected se minus.
Where in ORALZY: Insights → Money (traceable)
Quick steps
- Number kam / zyada lage to pehle check karo bill draft ya cancelled to nahi
- Recycle Bin me gaya bill is page par nahi ginega
- Security deposit ko Collected me mat dhundho, wo alag rakha jaata hai
- Billed tile par click karke dekho kaun se bills gine gaye